Ek boond aasha...ek boond pyaar...
Door tak andhera...but mein nahi maanoga haar.
Kabhi top kiya nahi...kyon karta kabhi chaha bhi nahi...
Kisi ka haanth chahiye tha...par kabhi maanga hi nahi...
Ek boond aasha...ek boond pyaar...
Bakar ke hain Raja...bakar ki hai darkaar...
IIT, IIM, etc etc etc...ne maan li mujh se haar...takraaye nahi ek baar...
Engineer bana aisa ki degree dikhane mein lagta hai darr...
MBA bhi kiya aisa....ki debit credit tak ki nahi khabar...
Ek boond aasha...ek boond pyaar....
Sapne hain apne..bade bade...Empires bana dein..pade pade...
Gyaan dedein sabko....lekin koi de nahi sakta humko...
Par ab thak gaya hoon...khud se yaar...
Kab tak chalega..yeh Ek boond aasha...Ek boond pyaar....
Kiss Din mein sapnon ko jee paaonga...
Kiss Raat mein andheron ko pee jaaonga...
Kiss Raah mein manzil mein samaaonga...
Kiss Subah mein naye din ko paaonga...
Kiss Saath mein khudko kho doonga...ya khud ko paa loonga...
Intezaar aur Intezaar...
Par Kab tak Aakhir...Aakhir kab tak...
Jab tak hai....
Ek Boond Aasha...Ek Boond Pyaar!!!!
Tuesday, May 13, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
So true.... keep blogging
Post a Comment